Barish

Barish Shayari

Meetha Hai Kosa Hai Baarish Ka Bosa Hai Meetha Hai Kosa Hai Baarish Ka Bosa Hai Maine Mangaya Tha Idli Tu Laaya Dosa Hai

Barish Shayari

Barish Main, Main Apne Dil Ko Roota Dekh Raha Tha, Kuch Kahe Bina Tum, Rabb Ke Ghar Chali Gaye,

Barish Shayari

Main Nay Ussay Poocha Tha, Kya Dhoop Main Barish Hoti Hai?? Wo Hanstay Hanstay Ronay Lagi Aur Dhoop Main Barish Honay Lagi….

Barish Shayari

Nafrat Ki Dhoop Me Barsat Se Pehle, Halaat Na Thay Aese Teri Mulaqat Se Pehle, Har Kisi Ko Hamdard Samajh Lete Thay, Hum Bhi Kitne Saada Thay Muhabbaton K Tajurbat Se Pehle.

Barish Shayari

Mai Nee Uss Sey Aik Bar Poochaa Kaa Dhoop Mai Barish Hootii Hai Too Woo Hasnee Lagii Aur Hastee Hastee Ronee Lagiii Aur Dhoop Mai Barish Hoona Lagi

Barish Shayari

Barishon Ke Mausam Mein Badalun Kaise Mein Ek Gaon Ke Rah Par Yaad Hai Miley Thy Hum Phir Ye Hadsa Howa Aasman Tu Tham Giya Lekin Apni Ankhon Sy Tab Se Le Ke Aj Tak Barashein Barasti Hein'

Barish Shayari

Jab Jab Aata Hai Yeh Barsaat Ka Mausam Teri Yaad Sath Hoti Hai Hamdum, Socha Is Mausam Mein Tujhe Yaad Nhi Karenge, Par Fir Socha Ki Hum Barish Ko Kaise Rok Payenge…

Barish Shayari

Kabhi hum bheegate hain chahaton ki tej baarish mein... Kabhi barson nahin milte kisi halki se ek ranjish mein... Tumhi mein dewtaon ki khushboo nahin thi warna... Kami koi nahin thi mere andaaz-e-parastish mein... Ye pehle soch lo phir aur bhi tanha na hojana... Use chhoone ki khuwahish mein use paane ki koshish mein... Buhat se zakham hain dil mein magar ek zakham aisa hai... Jo jal uthta hai raaton mein jo lau deta hai baarish mein...

Barish Shayari

Barsaat mein jab Barish hoti thi Hum park mein baitha karte the Barish mein bheega karte the. Aur Aaj Waisa hi barsaat ka din hai Park ke bench pe Tanha baitha bheeg raha hoon Jin mein hum tum sang bheege the Un lamhon ko soch raha raha hoon.

Barish Shayari

Gham ki barish ne bhi tere gham ko dhoya nahi, Tu ne mujh ko kho dia maine tujhe khoya nahi. Nend ka halka gulabi sa khumar ankhon mein tha, Yun laga jaise woh shab der tak soya nahiiii Janta hoon ek isi shakhs ko main bhi faraz, Gham se patthar ho gaya magar roya nahi.

Barish Shayari

Yaadein jaag jati hain, Barishon ke mausam mein. Har ghari satati hain Barishon ke mausam mein. Shaam bhi kisi surat, Chain se nahin kat-ti Subahein bhi satati hain Barishon ke mausam mein. Zehen ke jharokhe mein Jab koi sada ubhre. Aankhein bheeg jati hain Barishon ke mausam mein.

Barish Shayari

In barishon se adab-e-mohobbat seekho faraz, Agar yeh ruth bhi jayein to barasti bohot hain.

Barish Shayari

Aaj halki halki baarish hai, Aaj sard hawa ka raqs bhi hai, Aaj phool bhi nikhre nikhre hain, Aaj un main tumhara aks bhi hai,

Barish Shayari

Barishon ke mosam mein, Tum ko yaad karney ki, Aadatien purani hain!...., Ab ki bar socha hai, Aadatien badal dalein, Phir khayal aaya ke , Aadatein badalne se, Barishein nahin rukti.

Barish Shayari

Yeh barishein bhi tum si hain, Jo baras gayi to bahar hain, Jo thehar gayi to qarar hain, Kabhie aa gayi yun hi besabab, Kabhie chha gayi yun hi Roz o Shab Kabhie shor hain, Kabhie chup si hain, Kissi Yaad mayn kissi Raat ko, Yeh barishein bhi tum si hain, Ek dabi hui si raakh ko, Kabhie yun huwa ka bujha dia, Kabhie khud se khud ko jala dia, Kahin boond boond mein gum si hain. Yeh barishein bhi tum si hain,

Barish Shayari

Mausam tha beqarar tumhein sochate rahe Kul raat bar bar tumhein sochate rahe Baarish hui to lag kar ghar ke dareeche se hum Chup chap beqarar tumhein sochate rahe.

Barish Shayari

Is barish mein mujhe tera pyar bhi Kachchi mitti ki maanind laga Ke jaise chand lamhon ki inayaton ke baad Zameen ko sara saal pyasa rehna hai.

Barish Shayari

Kash meri zindegi mein aaye ek aisi barsaat Mere hath mein ho tera hath Bheegte rahein hum saari raat Honth rahe khamosh Bas aankhon se ho teri meri baat

Barish Shayari

Bin badal barsaat nahin hoti, Suraj doobe bina raat nahin hoti, Ab kuchh aise haalat hain hamare ki, Aapko dekhe bagair din ki shuruwat nahin hoti.

Barish Shayari

Kisne bheege hue baalon se ye jhatkaa pani, Jhoom ke aayi ghata toot ke barasa pani. Koi matawali ghata peeke jawani ki umang, Dil baha le gaya barsat ka pehala pani.

Barish Shayari

Aye barish zara tham ke baras, Jab mera yaar aa jaye to jam ke baras, Pehle na baras ki woh aa na sake, Phir itna baras ki woh ja na sake.

Barish Shayari

Barsat ki bheegi raaton mein fir koi suhani yaad aayi, Kuchh apna jamana yaad aaya kuchh unki jawani yaad aayi, Hum bhool chuke the jisne hamein duniya mein akela chhor diya, Jab gaur kiya to ek surat jaani pehchani yaad aayi.

Barish Shayari

Khyalon mein wahi, sapno mein wahi, Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi, Hum jaagte rahe duniya soti rahi, Ek baarish hi thi, jo humare sath roti rahi.