Urdu

Urdu Shayari

Saanche mein ajhal ke har ghadi dhalti hai, har waqt yeh sham-e-zindagi jalti hai, aati-jaati hai saans andar-bahar, ye umar ke halak pe churi chalti hai,

Urdu Shayari

Ulfat ka chaman ujhad gaya hai yaarb, range-gul fika padh gaya hai yaarab, gulshan mein chali haya-aye-nakhwat aisi, har gunche ka mooh bigad gaya hau yarab.

Urdu Shayari

Rindi hai to phir kaife-game hasti kyu, yeh makhmas-e-besh-oh-kame-hasti kyu, yeh le pe to iss saaj ko baj lene de, yeh waaim-aye-jeer-oh-bame-hasti kyu .

Urdu Shayari

Chaha ki tehar jaau magar waqt n tha, mujh me ne idhar dum tah udhar waqt n tha, awaaz to di tujhe har ek manjil par, aye kafal-e-waqt ! mein barwaqat n tha.

Urdu Shayari

Rag-rag mein basi hai teri kushbu ab tak, wallah thame nahi hai aansu ab tak, aye raske-chaman jidhar bithaya tha mujhe, veeran hai uss din se wo pehlu ab tak.

Urdu Shayari

Kya fayda shek tujhse keene mein mujhe, khski mein tujhe lutf safine mein mujhe, ayiash to dono hai magar farq yeh hai, khane mein tujhe majar hai peene mein mujhe.

Urdu Shayari

Karta Hai Sawalat Musalsal Uski Nigaah, Ye Tarz-E-Takaluf Mujhe Accha Nahi Lagta, Kehte Hai Mujhe Dekh Kar Aksar Mere Ehbaab, Ye Shaqs Akela Hai Magar Tanha Nahi Lagta.

Urdu Shayari

Bichde hum dost se mukaddar fute, dar hai game-hijar mein n himmat chute, wok at chale shame-gam wp tapke aansu, wo subh hui to dekhe tare tute.

Urdu Shayari

Kharch aamdani se apni duna rakho, khana, peena, pehnna badiya rakho, tankhao ka killat ka yeh shikwa kaise, aye dosto! Riswat pe bharosa rakho.

Urdu Shayari

Firdaus ke chasmo ki rawani pe n aa, aye shek tu jannat ki kahani pe n aa, iss weham to chod apne budape hi ko dekh, hurane-bahiste ki jawani pe n ja.

Urdu Shayari

Soo nakshe hai waajih koi tasveer nahi, wo shok hai jinko koi tafseer nahi, aye humanfaso ! khwabe-faramosh hai hum, jujh maut humari koi tasveer nahi.

Urdu Shayari

Ab aur n kuch soch jijhkata kya hai, la kaam mein hath par sakta kya hai, sangam pe khade dhare ki rafter ne dekh, niche se jami fatti hai taqat kya hai.

Urdu Shayari

Yun humse rooth kar kab tak rahogi jaaneman, Nashaad hone ka shabab ek baar to de de. Kar dun tumhare naam gulishtan sare jahan ka, Chehre pe tabassum ki jhalak ek baar to de de.

Urdu Shayari

Mujhe apni pasti ki sharm hai, teri rifato ka khayl hai, magar apne dil ko mein kya karu, ise phir bhi shok-e-vishal hai.

Urdu Shayari

Gohar se siwa ishq mein har aansu hai, katre-katre mein joke-sare-ju hai, maujo ki rawani ho ki kandile-habab, padti hai jaha nigaah tu hi tu hai.

Urdu Shayari

Dil siin-aye-najuk mein machal jata hai, chasma teri aankho ka ubhal jata hai, allah re soje-gam ki mere aage, Phulo ka tere rang badal jata hai.

Urdu Shayari

‘Mehrum’ bahare-naojwani kab tak, iss dare-fana 1 mein jindagi kab tak, tang aake karegi kaafiya maut ek din, yeh tab-aye-rava, yeh sherkhwani kab tak.

Urdu Shayari

Iss daur-kamalat mein paspa hu mein, nakshe-kadme-kidam ka joya hu mein, saains ki tum tarkiya ginwao, insa ki musibato ko ginta hu mein.

Urdu Shayari

Jo neend mein ho neend mein reh jata hai, bedar se raaje-jisat keh jata hai, ek noor ka dariya ki sehar se pehle, julmat ki vaadiyo se beh jata hai.

Urdu Shayari

Aaj se Ameeri Gareebi ka faasle na rahe, Har Insaan ek dujhe ko apna bhai kahe, Aaj sab kuch bhool ke aa gale lag ja, Mubarak ho tujhe yeh Eid-ul-azha.

Urdu Shayari

Eid leke aate hai dher sare khusiya, Eid mita deta hai insan mai duriya, Eid hai khuda ka ek nayam tabarok, Eisi liye kahte hai sab eid mubarak.

Urdu Shayari

Udte dekha jo taaire-para 1 ko, udhne ki umang le udhi insa ko, gole barsa diye jami par isne, parwaaj naseeb hui jab insa ko.

Urdu Shayari

Jalsa tha mehaj itefaki n raha, mehfil n rahi aur wo saaqi n raha, bajme-duniya se uth gaye yu aehbaab, duniya mein nishane-pa 1 bhi baaki n raha.

Urdu Shayari

Hargij n kaho ki koi aakil 1 hi nahi, jaahil hai tamam, koi kaamil hi nahi, apne pe kyas, dusro ka n karo, kya tum jo nahi to koi aakil hi nahi,

Urdu Shayari

Jab pee hi nahi tune sharab aye jaahid, fir kyu use kehta hai, kharab aye jaahid, malum hue uske nakaiss 1 kyu kar, iss bat ko de mujhko jawab aye jaahid.

Urdu Shayari

Kya shek ki kushk jindgani gujri, bechare ki ek shabe 1 n suhani gujri, dojakh ke takhul mein budapa jeeta, jannat ki duwaye mein jawani gujri.

Urdu Shayari

Raat apna jmal kho rahi hai so jao, chehra shabnam se dho rahi hai so jao, tute hue jism par jara reham karo, ab subh tuluh 1 ho rahi hai so jao.

Urdu Shayari

Kabro se ubhal rahe hai gam ke sote, marne wale kash n paida hote, kuch ban n pada to so gaye aakhirkar, aaram ki aarzoo mein rote-rote.

Urdu Shayari

Dil bhi kisi kafiyat mein sarsar hua, milne ki bhi mohum sa ajar hua, yu jaan pada bhig gayi thi aankh, tere liye h mujhse aaj inkaar hua.

Urdu Shayari

Has-has ke bahar gudgudaye jaise, aagosh mein koi kasamsaye jaise, hota hai nujule-sher-oh-nagma akhtar, makhmure-shabab gungunaye jaise.

Urdu Shayari

Waqt Ka Har Ik Chalan Badal Dein, Chalo Nizaam-E-Kohan Badal Dein, Banayein Nayzon Ko Lafz Aur Hum, Ada-E-Shair-O-Sukhan Badal Dein.

Urdu Shayari

Tifli 1 ka jamana rote-dhote gujra, aur ahde-shabab sote-sote gujra, piri mein khuli aankh to maninde habab, yeh waqt bhi subh hote-hote gujra.

Urdu Shayari

Armaan hai wo dhoop, ki dhalti hi nahi, hasrat wo seh hai ki jo nikalti hi nahi, matloob 1 to har roj badal jate hai, kambhakata talab hai ki badalti hi nahi.

Urdu Shayari

Gujri hai jigar ke jhkam seete-seete, jehrabe-alam ke jaam peete-peete, soo baar agarchey koi-gam 1 bhi toote, garden n kabhi jhukegi jeete-jeete.

Urdu Shayari

Yu dil ki faza mein khelte hai, reh-rehke ummid ke ujhale, chup-chup ke koi sharir ladki, aaine ka akas jaise dale.

Urdu Shayari

Ijhare-haqiqat ke liye aaye the, tabdiliye-fitrat ke liye aaye the, khud hajarte-wayij bhi uthe hai pee kar, rindo ki hidayat ke liye aaye the.

Urdu Shayari

Khushio se bhari raat kahan aayegi, har baar ye barsaat kahan aayegi, dhal jaayegi do din me jawani “betaab“, ek baar gayi baat kahan aayegi.

Urdu Shayari

Chaha tha magar chake jigar see na saka, jeene ki iccha ek ghadi jee na saka, dil khol ke pee maine mai e naab magar, saaye mein tire gesuon ke pee na saka.

Urdu Shayari

Saaki ke labon par wo tabassum jhalka, dariya mein tawajjum – sa halka halka, ab ese me taubaa ki bhi kuch khair nahi, chinta de lunga may mein gangajal ka.

Urdu Shayari

Jauke-najar iss makam par reh n sake, jalwo ka yeh tufan ki din seh na sake, aur nutk agar byan karna chahe, iss waqt ki kafiyat kabhi n keh sake.

Urdu Shayari

Chehre pe wo sailabe-tabssum hai, seene mein wo joshe-talatum hai, kaano mein meri gunj rahi hai ab tak, wo raat ka khamosh tarnnum hai.

Urdu Shayari

Kitno ko jigar ka jakham seete dekha, dekha jise, khoone dil hi peete dekha, ab tak rote the marne walo ko, aur ab, hum ro diye, jab kisi ko jeete dekha.