Mausam

Mausam Shayari

Barish Ka Ye Mousam Koch Yaad Dilata Hai Kisi Kay Saath Honay Ka Ehsaas Dilata Hai Fiza Bhi Sard Hai Yaadain Bhi Taaza Hai Ye Mousam Kisi Ka Pyaar Dil May Jagata Hai Bheegi Hoye Raatain Khamosh Si Baatain Aisay Main Koch Kaho Tu Her Lafz Madhem Ho Jata Hai Barsat Ki Hain Bondain, Bondon May Hai Khushbo Ye Lumha Tu Dil Ka Ehsaas Chuu Jata Hai Aisay Main Tum Bhi Keh Do Dil Ki Baat Ye Mousam Tu Pal Bhar Main Beet Jata Hai

Mausam Shayari

Tujh Se Milnay Ko Kabhi Hum Jo Machal Jaate Hain To Khyalon Me Bohut Door Nikal Jaate Hain Gar Wafaun Me Sadaqat Bhi Ho Or Shiddat Bhi Phir To Ahsaas Se Patther Bhi Pighal Jaate Hain Uski Aankhon K Nashe Me Hain Jab Se Doobe Lar-Khratay Hain Qadam Or Sambhal Jaate Hain Bewafayi Ka Mujhe Jab Bhi Khyaal Aata Hai Ashk Rukhsaar Pe Aankhon Se Phisal Jaate Hain Piyar Me Aik Hi Mausam Hai Baharon Ka Log Mausam Ki Tarha Kese Badal Jaate Hain ??

Mausam Shayari

Ek Naya Mausam Aaj Phir Aaya Hai Aaj Phir Kisi Ne Aankhon Se Ashk Bahaaya Hai Chhup Gaye Aansoo Aaj Phir Baarish Mein Dil Mein Phir Gham Ka Sailaab Aaya Hai Chhupaaye Chal Diye Hum Toh Baarish Mein Koi Hamein Kabhi Kya Samajh Paaya Hai Aansoo Ban Kar Aayi Yaad Jo Teri Ussi Yaad Ne Hamein Hansaaya Hai Bas Kaash Agar Saath Hote Tum Toh Mausam Yeh Bhi Sau Rang Laaya Hai

Mausam Shayari

Dekhte Dekhte Kai Mausam Badal Gayae, Auron Ki Kya Baat Karein,Sanam Badal Gayae. Ruswa Mehfil Mein Is Tarah Se Hue, Apnon Ki Bheed Mein Jaise,Hum Badal Gayae. Kagaz Pe Kuchh Lakerein,Haathon Ki Tarah, Mitaa Sakta Hai Har Koi,Karam Badal Gayae. Unki Bewafai Ka Kaise Sikwa Karein, Chhod De Saath “Faqeer”,Sitam Badal Gayae. Teri Zarra Nawazish Ka Dil Se Shukriya,

Mausam Shayari

Bhagon Main Phir Bahaar Ka Mausam Hai Aa Gaya Phir Zindagi Main Pyar Ka Mausam Hai Aa Gaya Serson Ka Rang Khila-Khila Haldi Ke Rang Se Lagta Hai Phir Ubaar Ka Mausam Hai Aa Gaya Sharma Ke Laal Ho Gayee Kaliyan Plaas Ki Sapno Main Intezar Ka Mausam Hai Aa Gaya Purvayiyon Ke Haat Phir Mehandi Lagi Huyi Doli Ka, Phir Kahaar Ka Mausam Hai Aa Gaya Chalki Hai Phir Se Geet Ki Gaagar Kahi Nayee Dolak Ka, Phir Sitar Ka Mausam Hai Aa Gaya Keh Do Kabeer Se Na Chadariya Bachegi Aaj Rangon Ki Phir Puhaar Ka Mausam Hai Aa Gaya

Mausam Shayari

Kab Tak Door Bhagoge Ek Din To Baat Honi Hai Khushbu Ki Bhawron Se Mulakat To Honi Hai Tadapkar Kar Yun Na Roko Apni Mohabbat Ko Pyaar Ke Mausam Ki Barsat To Honi Hai

Mausam Shayari

Ye Baarisho’n K Mausam Bas Tum Hi Se Hyn Wabasta k Mohabbato’nMain Baarish Bari Lazmi Si Shey Hy Chahey Aasman Se Barsey Chahey Chashm-e-Nam Se

Mausam Shayari

Mausam Hai Barish Ka Aur Yaad Tumhari Aati Hai, Barish Ke Har Qatre Se Awaz Tumhari Aati Hai. Badal Jab Garajte Hain, Dil Ki Dharkan Badh Jati Hai, Dil Ki Har Ek Dharkan Se Awaz Tumhari Aati Hai. Jab Tez Hawayein Chalti Hai To Jaan Hamari Jati Hai, Mausam Hai Barish Ka Aur Yaad Tumhari Aati Hai.

Mausam Shayari

Mausam Ko Mausam Ke Baharon Ne Luta, Kashti Ko Saahil Ke Kinaron Ne Luta. Tum To Darr Gaye Ek Hi Kasam Se, Humein To Tumhari Kasam De Kar Hazaron Ne Luta.

Mausam Shayari

Mausam-E-Abr Ho Subuu Bhii Ho Gul Ho Gulshan Ho Aur Tuu Bhii Ho Kab Tak Aaiine Kaa Ye Husn-E-Qubuul Muunh Teraa Is Taraf Kabhuu Bhii Ho Ho Jo Teraa Saa Rang Gul Kaa Hai Dekhen Ham Tab Jab Aisii Buu Bhii Ho Hai Gar’z Ishq Sirf Hii Lekin Shart Ye Hai Ke Justujuu Bhii Ho Sarkashii Gul Kii Sar Nahiin Aatii Naaz Karne Ko Vaisaa Ruu Bhii Ho Kis Ko Bulbul Hai Dam-Kashii Kaa Dimaagh Ho To Gul Hii Kii Guftuguu Bhii Ho Dil Tamanaa-Kadaa To Hai Par “Mir” Ho To Us Kii Hii Aarzuu Bhii Ho

Mausam Shayari

1 Ladki Ne Kiya Ladke Ko Gaal Pe Kiss 1 Ladki Ne Kiya Ladke Ko Gaal Pe Kiss . . . . . . . . . . . . . .. . .. . . . Mutual Funds Are Subjected To Market Risks……!!!! Wah Wah Wa

Mausam Shayari

Dard Me Koi Mousam Pyara Nahi Hota, Dil Ho Pyasa To Pani Se Gujara Nahi Hota. Koi Dekhe To Humari Bebasi, Hum Sabhi K Ho Jate Hain Par Koi Humara Nahi Hota.

Mausam Shayari

Dayar-e-nur mein tera shabon ka sathi ho koi to ho jo meri vahashaton ka sathi ho main us se jhooth bhi bolun to mujh se sach bole mere mizaj ki sab mausamon ka sathi ho wo mere naam ki nisbat se mo’atabar thahare gali gali meri rusvaiyon ka sathi ho main us ki hath na aaun wo mera hoke rahe main gir padun to meri pastiyon ka sathi ho wo khwab dekhe to dekhe mere havale se mere khayalon ki sab manzaron ka sathi ho

Mausam Shayari

Tumhare gham ka mausam hai abhi tak lab-e-tashna pe shabanam hai abhi tak safar mein aabale hi aabale the magar pairon mein dam-kham hai abhi tak tumhare band dar mujh se khafa hain mere jine ka matam hai abhi tak teri aab-o-hava ras aa gai thi bichad jane ka kuch gham hai abhi tak gai rut mein hui thi fasl achi idhar panii gira kam hai abhi tak main khud ko dhundhata phirta hun sab mein junun ka ik aalam hai abhi tak

Mausam Shayari

Jhalakti Hay, Tasveer Tari Barish Ki Bondoon Main… Aj Phir Bheeg Baitha, Tujhe Paane Ki Chahat Mein…!!!