Sharabi

Sharabi Shayari

Aaj itna pila jaalim ki hosh na rahe, dard ka ehsaas mit jaye, koi gam n rahe, katra-katra jism mein yu aag bhar jaye, jal jaye jism apna magar hosh na rahe.

Sharabi Shayari

Ye sanse kya hai jaise koi paimana hai, ye zindagi kya jaise koi mehkahan hai, sambhal ke peena hai sharab peena wale, iss paimane ka tutna hi marr jana hai.

Sharabi Shayari

Mohabbat mein deewane ko milta kya h, kuch dard aur ruswaiyo ka khazana, log kehte hai ki peeta hai deewana, mafar sharab to hai deewane ke jeene ka bahana.

Sharabi Shayari

Zindagi ka sath nibhata raha hu mein, pyar ke geet gungunata raha hu mein, na jane kab aa jaye maut ka paigam, yahi sochkar har jaam uthata raha hu mein.

Sharabi Shayari

Pamana Liye Baitha Hoon, Par Mat Samajna Ki Piye Baitha Hoon, Dil Tod Kar Jane Wali Bewafa Sanam, Abhi Tak Teri Tasveer Liye Baitha Hoon.

Sharabi Shayari

Yaaro kaha mein shok se peeta hu, gham bhulane ke liye hosh se peeta hu, mat kahiye mujhse sharab chodne ke liye, sharab peeta hu esliye to jeeta hu.

Sharabi Shayari

Mein jaa raha hu saaki ab chod ke mehkana, agar pilane ka shaur nahi to ye tod de paimana, agar hosh rahe baaki to ye mehkashi bhi kya hai, ab phir n kabhi tum kisi deewane ko azmana,

Sharabi Shayari

Pyar karne wale hi jaha abaad karte hai, duniya ko gam ki kaid se azaad karte hai, khud to peete hai deewane sharabe-gam, auro ki salamati ke liye sabse fariyad karte hai.

Sharabi Shayari

Jinda hu mein agar to ye jindagi sharab hai, dosto maaf karna mujhe meri bandage sharab hai, yu to mile hai ab tak zamane se bahut gam, lekin jo pass hai bachi, wo har kushi sharab hai.

Sharabi Shayari

Yaari sharab peene ki jaga mukarara mat karo, ladkhadane ki koi nahi mukarara mat karo, aisi jagah kaha hai jaha khuda nahi, tum ibadat ke liye koi jagah mukarara mat karo.

Sharabi Shayari

Tumne to badhe araam se dil tod diya, lakar mujhe gam ke raste par chod diya, ye to saqi ki bahut meharbani hai, usne iss tute dil ka sharab se ristha jod diya.

Sharabi Shayari

Kaash humne tumse dil lagaya n hota, to ye gam ka bhoj dil pe aaya n hota, sharabi n kehe zamane wale mujhko, agar humne paimane ko hontho se lagata n hota.

Sharabi Shayari

Maine kabhi pee nahi, dosto ne pila di, inkar jo aaya labo par, uski kasam laga di, ik baar jo utar gayi seene mein ye sharab, maine jaha ki saari dushwariya bhula di.

Sharabi Shayari

Har Baat ka koi Jawab nahi hota, Har Ishq ka naam kharab nahi hota, yu to jhoom lete hai nashe me pinewale bhi, magar Har nashe Ka naam sharab nahi hota.

Sharabi Shayari

Ye mere honth hai ya chalke hue paimane, aisa lagta hai ki har aur hi mehkane hai, jane kya baat hai tujhme oh sitamgar, ham tere har andaj ke deewane hai.

Sharabi Shayari

Teri aankho me mujhe rind bana dala, honth tere mehkana hai paimane se bhara pyala, peene wale jo bhi dekhe khud behak jaye, teri aankho ne jane kya jaadu kar dala.

Sharabi Shayari

Dil Pe Jab Se Sharab Ka Pehra Lag Gaya, Gham Ka dil mein Aane Ka Rasta Band Ho Gaya Zubaan Ne Jab Se Sharab Ko Chhu Liya, Uska pyar Hamesha Ke Liye dafna diya.

Sharabi Shayari

Khuda ne husn ko pyale mein rakh diya, phir uss or ishq ka mulamma chada diya, mohabbat ki aag se pighalkar jo bani, usi she ka usne sharab ka naam rakh diya.

Sharabi Shayari

Aksar hame Nasha ho jata hai, aur ilzam bechari sharab par aa jata hai, kasur iss sharab ka nahi hai dosto, kasoor to uss chehre ka hai, jo us sharab ke glass me nazar aata hai.

Sharabi Shayari

Har saans mein jame-jehar peeta kyu hai, har chak ko bar-bar seeta kyu hai, jitne bhi jatan hai sab hai jeene ke liye, par yeh bhi kabhi socha ki jeeta kyu hai.

Sharabi Shayari

Tum agar gulab hote to tod leta, Tum agar sawal hote to jawab deta, Log jante hai ki main peeta nahi hoon, Phir bhi pee leta agar tum sharab hote.

Sharabi Shayari

Dil Pe Jab Se Sharab Ka Pehra Lag Gaya, Gam Ka khud-b-khud dil ka Rasta Band Ho Gaya, Zubaan Ne Jab Se Sharab Ko Choo Liya hai, Uska bewafa ka naam Hamesha Ke Liye Bhool Gaya.

Sharabi Shayari

Badal ka bheja hua salaam leta hoon, waqt ke hath bhi tham leta hoon, maut ruk jaati hai pal bhar ke liye , aye dosto, jab mein hathon mein sharab ka jaam leta hoon.

Sharabi Shayari

jo manzil tak pahunch jaaye wo musafir hi kya, jo pee ke behak jaaye wo sharabi hi kya, chal kadam-dar-kadam mere sath uss jaha tak, jo thak gaya safar mein to wo hamsafar hi kya.

Sharabi Shayari

Sharabi ilzaam sharab ko deta hai, Aashiq ilzaam shabaab ko deta hai, Koi nahi karta kabool apni bhool, Kaante bhi ilzaam gulaab ko dete hai.

Sharabi Shayari

Nazar saaki par hai aur lab paimaane par, Dil hamara hai aaj fir kisi ke nishaane par, Wo khaali pyala liye lete hai kabar main apni, Kehte hai sharab milaegi jannat aa kaane par.

Sharabi Shayari

Ibarat tak Chapi Thi Mehkhane Par, Har Shkhsiyat Thi Waha Behkane Par, Maine Sharab Nahi Pee Laakh Manane Par, Kambakt Tera Naam Tak Chapa Tha Paimane Par.

Sharabi Shayari

Wo dil kaha hai ab jisse pyar kare ham, Majburiya hi sath diye jaa raha hu main, Pehle zindagi sharab thi ab sharab zindagi hai, Koi pila raha hai aur piye ja rahe hum.

Sharabi Shayari

Pyaar Mein Jo Dagmagaye Kadam, Aakar Doob Gaye Hum Paimane Mein, Jo Thukraye Gaye Har Dar Se, Aakar Thehar Gaye Maikhane Mein.

Sharabi Shayari

Maikhane me jab hamne paimana uthaya, To paimane ko bhi ham par rona aaya, Hamne jitna usko chalka kar piya hai, Utna hi usne meri aankho ko jyada rulaya.